Menu
blogid : 12779 postid : 10

GART MAI JAATI SAMAAJ KI SOCH

vande matram
vande matram
  • 15 Posts
  • 188 Comments

Prati din samachar patro ko jab pda jata hai to shayad he koi din ho jab blatkaar ya chedkhani ka smachaar na ho . Kitni he baar in smacharo ki snkhya itni hoti hai ke mai ye sochne par vivash ho jaati hu ki aakhir aapne samaaj ki soch kha ja rhi hai log apne aap par sayam khokar itne vehshi kese ban rhe hai ki unhe blatkaar aur chedkhani
Karne mai zra bhi hechak aur sharm mehsoos nahi hoti. Aise he logo ki vjah se aaj mahilaay ghar se nikalti to hai par man mai kahi na kahi ek dar liy . Ghar wale bhi apni betio ko padne ke liy bhejte to hai par jab tak unki betiya theek thaak ghar nahi pahuch jaati un ke bhi mann mai bhay bana he rehta hai. Aur samaj mai aur mahilaao mai ye dar bnaane ke peeche aise log hain jinke bhitar ka insaan mar chuka hai jo aise kukrity karne mai zra bhi darr sharm ya glani nahi rakhte. Aise logo ke man naari kewal bhog ki vastu hai nari ke prati aadar bhaav nahi rakhte naa he uske aatm samman ki he parwa karte hai. Samaaj ko ye sab hota hua dekhkar chup rehne ki pravati chodni hogi sath he mahilaao bhi chahiy ke jab esa ho to chup naa rahe iske virodh mai aavaz uthay chup rehne se unki haar hogi .samaaj ke dar se kai baar mahilaay virodh karne ke bjaay chup baith jaati haijo ki sahi nahi hai. Kisi bhi suraat mai haar nahi maanni chahiy kyoki ye hamare astitv aur aatmsamman ka prashn hai aur agar koi ise thes pahuchayega to ye katai bardasht nahi kiya jayega. AgarSamaj SWAMI VIVEKANAND ke ki soch ko apna le to shayad smaj se aise ghranit kary smapt ho jay. VIVEKWANAND JI ne kha tha: HAR PURUSH KO APNI PTNI KE ATIRIKT HAR STRI KO MATRVAT SAMJHNA CHAHIY AUR HAR STRI KO APNE PATI KE ATIRIKT HAR PURUSH KO PUTRVT. Smaj ko is soch ko apnane ki aavshyakta hai jisse purush aur stri ek dusre ko samman ki drshti se dekhe aur apne aane wali peedi mai yahi soch daalkar samaaj aur uski soch ko gart mai jaane se rok sake . VANDE MATRAM.

J

e to hai par jab tak unki
betiya theek thaak ghar napahuch jaati unkkukrjja nahi aati unhe smaj mahilao

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply