Menu
blogid : 12779 postid : 7

KAHE PANCHI BUS ITNA

vande matram
vande matram
  • 15 Posts
  • 188 Comments

Is kavita ke madhyam se mene desh ki betiyo ke manobhavo ko panchi se ke madhyam se vyat krna chaha hai jo aaj bhi poorn roop se swatntra nhi hai. Jb pehle mene ye kavita likhi thi tb ye mere bhi mnobhav the. Nahi chahiy sone ka pinjra chahiy swatntrta ki udaan mujhe kahe panchi bus itna dedo vistrit aakash mujhe. Mujhe swatantrta ki udaan bhati hai , na ki is pinjre ki jakdan, chahu bina avrodh ke chuna aakash ki unchaiyo ko, chahu bina avrodho ke paar karna seemao ko. Kahe panchi bus itna, tumhara ye bhautik sansaar, sukh aur vebhav ka bhandaar, mujhe na sukh de payenge, tum he rakho tum he bhogo, mera nirmal hriday aur pankh inhe na dho payenge, kahe panchi bus itna. Sukh shanti ka waas kahaa, tumhaare in mehlo mai, sone chandi ke bartan aur makhmal ke bistar mai, sukh shanti basti vriksh par us tinko ke ghar mai, kahe panchi bus itna. Meri tripti keval vichran mai, sakal prakrti ke aangan mai, van upvan nadi jharno parvat par, mere kalrav gaan mai, kahe panchi bus itna . Panchi ka jeevan mila, udaan he meri pehchaan hai, kitne he ye lobh pralobhan mere liy viyarth hain bekaar hai, jane do ud jaane do, bnaane do mujhe meri pehchaan, naa banaao is pinjare ko meri arthee ka saman, kahe panchi bus itna, kahe panchi bus itna, kahe panchi bus itna. Satya hai kitne he lobh aur praloobhan beti ke liy swatantrata ke samaksh vyarth hai. Vande matram.

Tags:         

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply